Kya Share Market Jua Hai? - Kya Trading ek Jua Hai? - MyGyanUpchar ~ हिंदी में।

Breaking

शनिवार, 6 अप्रैल 2024

Kya Share Market Jua Hai? - Kya Trading ek Jua Hai?

Kya Share Market Jua Hai? Kya Trading ek Jua Hai?


Hello Dosto kaise hai aap sab, aaj ka yah article Kya Share Market Jua Hai? - Kya Trading ek Jua Hai? Is par based hai.


Jo log Share Market me abhi new hai, or Share Market me apna future dekh rahe hai, ya Share Market me apna carrier banana chahate hai.


Aise me ek sawal akshar man me aata hai ki kya sach me Stock Market Jua Hai?,

kya share market jua hai, kya stock market jua hai, kya trading ek juaa hai, share market satta hai, kya share market sahi hai, kya share market haram hai
 Kya Share Market Jua Hai? - Kya Trading ek Jua Hai? 

Aap yah sawal jab kisi aise logo se karenge, jinko share market ki jyada knowledge nhi hai, ya jinhonne share market ko sirf or sirf news paper me read kiya hai, ya Share Market par bani koi film dekhi hai.


Or aise log jinhonne kabhi bhi apne life me Share Marke me investing ya trading nhi ki hai. Or na he Share Market ki practical knowledge hai.


To aise me unka jabab yah hoga ki share market pure gambling hai.


SEBI ki report ke according India me 89% trader abhi bhi Loss making me he hai. To kya sach me Share Market ek Gambling hai?.


Agar simple language me is quarry ka answer diya jaye ki kya sach me share market ek jua hai, to iska answer No hai, (Share Market is Not a Gambling)


Ab sawal yah aata hai ki. Agar share market jua nhi hai to fir akhir q 89% trader isme apna paisa kamane ke jagha gawa rahe hai.


Agar aap ko detail me yah janna hai ki akhir q 89% trader share market me apna money loss karte hai, aisi koun se glatiyan hai jisse ek New Trader share market me apna money loss karte hai, or 89% ke list me aate hai.


To is topic par hamne alag se ek post me, A to Z detail me bataya hai ki ek New Tader share maket me q loss karta hai, or share market se q paise nhi kama pata hai.


Aisi koun – koun se galtiyan hai jo ek New Trader karta hai. Post read karne ke liye click kare – post link & title

 

Kya Share Market Jua Hai?


Nhi, Share Market Jua Nhi Hai, lekin fir bhi kuch had tak yah kahana sahi hai ki share market ek jua hai. Lekin puri traha se kahna bilkul galat hai.


Share market me paise kamane ke do tarike he hote hai.


  • First hai  – ek Invester bankar Or, 
  • Second hai – ek Trader banker

Invester ko chodakar ek Trader ki baat kare to, yah kahna bilkul bhi glat nhi hoga ki ek Trader ke sath Market manipulation karti hai.


Jisse ki share market me sabse jyada money loss ek trader he karta hai, lekin isme bhi puri trah se yah kahana ki share market ek jua hai, ye glat hoga.


Qki jab ek new trader kisi share ya index me trading() karta hai, ya karne ki sochata hai, to aise me us trader ko yah acche se pata hona jaruri hai ki, wah us stock ya index me kya dekh kar trader kar raha hai.


For Example jab koi Trader Share Market me kisi stock ya index me trading karta hai to, aise me wah yahi sari chejo ko dekh kar trader karta hai.


Jaise ki kisi Stock ya Index me – Support & Resistance ke Break Down ya Break Out hone par trade karna


Kisi Stock ya Index ke chart me Multiple Time Frame Analysis karke trade karna.  Ya kisi Indicator ke help se kisi index ya stock me trade karna.


Ya fir kisi chart pattern ke banne par trade karna. Iske alava or bhi kai tarike hai jisse ki ek trader share market me trading karke paise kamata hai.


Share Market se money earn karne ke bahut sare tarike hote hai. For Example – aap stock market me invest kar ke paisa kama sakte hai. 


Ya fir aap stock market me trading ke thru paisa kama sakte hai.


Jisme trading bhi bahut se tariko se ki jati hai, For Example – Aap kisi Stock me Intraday trading karke paise kama sakte hai. 


Ya fir kisi company ke Share ya kisi Index me Swing Trading or Option Trading karke bhi paise kama sakte hai.

kya share market jua hai, kya stock market jua hai, kya trading ek juaa hai, share market satta hai, kya share market sahi hai, kya share market haram hai

To qki Share Market se pasie kamane ke bahut se tarike hote hai, isliye puri tarah se share market ko jua kahana galat hoga.


Lekin stock market jua kab ban jata hai, or koun se sahi tarike hai share market se paise kamane ke, hm ye bhi janenge aage.


Share market se paise kamane ka sabse common tarika hai, Investing karke.


Kya Investing ek Jua Hai?


Investing 99.99% case me jua nhi hai, qki jab aap kisi company me investing ke thru share ko khridte hai,


 To iska matlab yah hai ki aap us company ka kuch hissa khrid rahe hai.


Aise me agar us company ko in future profit hoga to, qki aap ne us company ke share ko khrida hai, to share ko Long Term Hold karne par aap ko bhi profit hoga.


Agar company ko loss hoga, qki aap ne company ka kuch hissa khrid rakha hai, to isliye aap ko bhi loss hoga.


Share market jua q nhi hai, aaye ise ek example ke help se samajhte hai.


Example ke liye man leejiye, aap ka koi friend business start karna chahtha hai, lekin business start karne ke liye use or bhi jyada paiso ki jarurat hai.


Aise me aap apne dost ko business start karne ke liye laghbhag 20% paise de dete hai.


Or apne dosto se yah kahte hai ki agar tere business me profit hoga, to us profit ka 20% paisa mera hoga, or agar business me loss hoga, to 20% loss bhi mera hoga.


To q ki aap ne apne dost ke business ka 20% share khrid liya hai, aisa hm kah sakte hai.


To aise me ye jua isliye nhi hai, qki isme aap ne kisi business me apna paisa lagaye hai, jo ki koi product ya koi service provide kar rahe hai.


Or business ko chalane ke liye bahut se skillful people work kar rahe hai, or us business se jo bhi profit ho raha hai, uska he ek hissa aap ko mil raha hai.


Iske alava jab bhi aap kisi company ke share khridte hai, to aise me aap us company ke Owner bhi ban jate hai.


Aise me jab aap kisi company ke share khrid kar us company ke owner ban jate hai, to in case aap ko us company ke bahut se right bhi mil jate hai.


Jaise ki jab kisi company ko extra profit ho jata hai, to aise me company apne share holder ko dividend ke roop me extra profit deti hai.


Iske alava jab bhi kisi company me important decision lena hota hai, to qki aap ne company ke share khridi hai, or aap company ke owner bhi mane jate hai, to isliye aap ke pas Voting Right bhi hote hai.


Aise me jab bhi kisi company ko loss hota hai, to iska yah matlab bilkul bhi nahi hai ki, company me lagaya hua, aap ka hard and earn money yani sara paisa dub(loss) jayega.


Qki company me invest karne ke bad, agar wah company loss me aati hai to in case, q ki aap company ke business partner hai. Isliye aap ko bhi thoda – bahut loss dikhega.


Or jab company ko profit hone lag jayegi, to aise me aap ko bhi profit hona suru ho jayegi.


Kisi company me pure paise dubne ke bahut he kam chance hote hai, jo karib 0.001% hai.


Jab ki jua me aap ke pas koi bhi right nhi hota hai, q ki jua khelna, ya jua khel kar paise kamana koi business nhi hai.


Or agar jua me harte hai to aise me aap ka sara hard and earn money wipe out ho jata hai.


Jua khel kar koun jeetega ya harega, ye baat pure tarah se luck par depend hota hai.


Example ke liye agar kisi coin ko toss kiya jaye, to aise me yah koi nhi bata sakta hai ki head aayega ya tail, qki ye puri trah se kisi ke luck par depend karta hai.


Jabki investing bahut he soch samajh kar or puri research ke sath ki jati hai, jisme kisi company me invest karne se pahle hame.


Company se related bahut se analysis karne hote hai, iske alava company se related kai factor ko bhi dekhana hota hai.


For example kisi company me invest karne se pahle hame us company me – Business Analysis, Sectorial Analysis, Financial Analysis, Etc ko dekhna hota hai.


Iske baad he decided hota hai ki, company me invest karna chahiye ya nhi.


Iske alava agar aap apne paise ko kisi ek company me invest karne ke jagha, multiple company me invest karte hai.


To aise me maan leejiye ki agar kisi ek company me aapka loss hota hai, to baki ki 2nd and 3rd companies me aap ko jyada profit ho sakta hai.


Jisse aap apne risk (money) ko multiple company me invest karke, apne risk ko minimize kar sakte hai.


Jab ki jua ya casino jaise khel me aap apne risk ko manage nhi kar sakte hai, jisse aap hamesa loss he karte hai.


Jua ya Casino jaise khel me ek baat bahut he important hai ki, jab koi vyakti jua me paisa kamata hai, to wahi dusra vyakti jua me apne paise harta hai.


Jua ya Casino jaise game me yah baat to clear hai ki aap kisi ke harne par he jeetoge, ya kisi ke jeetne par he aap haroge.


Jabki investing me aisa kuch nhi hota hai, for example investing me ho sakta hai ki aap ne kisi company ka share 100 rs me khrida.


Or fir aap ne us share ko 150 rs ke bhav par bech diya, to wahi kisi next person ne aap ke thru beche gaye share (jiski kimat 150 rs hai) ko, 150 rs ke bhav par khrida.


Or us person ne 150 rs ke share ko 200 rs me bech diya, fir koi person ne is share ko 200 me khrida, or 300 me bech, to aise me investing me yah possible hai ki sabhi log profit kamaye.


To iska matlab yah hua ki share market me investing ke thru paise kamana jua nhi hai, qki kisi company me invest karke paise kamana ek business hai.


Or qki investing karna, ek business karne jaise he hai, isse yah clear ho jata hai ki share market me investing karna or paise earn karna jua nhi hai.


Lekin investing se related ek sawal man me baar – baar aata hai ki, qki kisi company me invest karne me risk hai, isliye yah jua he hua.


Agar aap bhi aisa he soch rahe hai ki, invest karne me risk hota hai, or jisme risk hota hai wah jua hota hai.


To aise me aap ki thinking investing ko lekar galat hai.


Qki risk to tab bhi hota hai jab hm koi business start karte hai, to is case me to business ko jua nhi kaha jata hai.


Lekin jahan share market ki baat aati hai, isme invest karke paise kamane ki, to isme aksar log dar jate hai, or ise ek jua samajhane lag jate hai.


Jab ki fark sirf itna hai ki jab aap share market me kisi company ke share me apna paisa invest karte hai, to aise me aap us company ya business ko nhi chalate hai.


Aap ke badle us company ke founder or expert he us company ya business ko run karte hai.


Example ke liye Tata or Reliance jaise badi badi company ke founder or expert milkar he business ko run karte hai. 


Jab ki hamara kam us company me sirf invest karna hota hai.


Agar aap apne risk ko or bhi kam karna chahte hai, to aap apna paisa Mutual Funds me invest kar sakte hai.


Jahan par professional aap ke paise ko multiple companies me invest karte hai, jisse aap ka risk or bhi kam ho jata hai.


Iske alava agar aap share market se paise earn karne ke liye sabse safe tarika khoj rahe hai.


To wo hai, Index Funds me paise invest karke, index fund me invest karne par loss hone ke chances totally zero ho jate hai.


Index fund me paisa invest karne par, iska sabse bada benefits yah hai ki jis hisab se India ki Economy perform karegi, us hisab se share market bhi perform karega.


Index fund me paise invest karne par, aap ka paise india ki top companies jaise ki – Reliance, Tata TCS, Adani jaise companies me invest hota hai.


Jo ki kafi jyada stable or safe hai, or share market se paisa kamane ka sabse aasan or tension free technique me se ek hai.


To aise me in sab baato se yah proof ho jata hai ki share market me investing 99.99% jua nhi hai.


0.1% case me investing jua tan ban jati hai, jab bina kisi research ke, kisi bhi company ke share ko khrid lena, or sirf kismat ke bharose baithe rahana.


Aise case me bina kisi research ke, bina analysis ke kisi company me invest karan, jua karne jaise he hai.


Investing kahi se bhi jua nhi hai, lekin q ki log bina kisi knowledge ke kisi company me apna paise invest kar dete hai, jisse unahe acche return nhi milte hai, ya loss karte hai.


To aise me yahi log investing ko jua samajhte hai, jab ki reality yah hai ki investing karna, ek business karne jaise hai.


Guys I hope aap ko investing ki puri jankari ho gai hogi, ki kaise investing jua nhi ek business hai.


Kya Trading ek Jua Hai?


Aaiye ab hm baat karte hai Trading ke bare me, ki kya share market me, trading karna ek jua hai?, ya fir ek business hai.


Because aaj ke time india me mostly log investing na karke, trading karna jyada prefer karte hai, or trading kar ke paisa kamana chahate hai.


Qki trading kar ke bahut he kam time me amir bana ja sakta hai. isliye log trading ko jua samajhte hai.


Trading Jua Hai Ya Nhi? ise janne ke liye, hame sab se pahle yah pata hona jaruri hai ki Trading Kya Hai.


Qki aaj ka hamara yah topic share bajar jua hai ya nhi?, Is par based hai, isliye hm trading kya hai? jyada iske detail me nhi jayenge.


Agar aap trading ke bare me detail se janna chahate hai ki share market me trading kasia kiya jata hai to aap upar diye gaye Link par Click karke Trading se related post read kar sakte hai.


Filal aate hai apne topic par or brief me janne ki koshish karte hai, ki trading kya hai? or sab se important ki kaise kisi trader ko trading karne par profit or loss hota hai.


Trading kya hai – jab koi trader share market me trading ke thru paisa kamata hai, to iska sidha - sidha matlab yah hai ki wah trader.


Share Market me kisi company ke share me hone wale Fluctuation (utaar – chadhav) ko catch kar ke paisa kama raha hota hai. example ke liye aap niche diye gaye image ki help le sakte hai.

kya share market jua hai, kya stock market jua hai, kya trading ek juaa hai, share market satta hai, kya share market sahi hai, kya share market haram hai

Upar image me yah dikhaya gya hai ki kaise ek trader, kisi share ke price me hone wale fluctuation ko catch karta hai, or profit kamata hai.


Jiseme agar kisi trader ko yah lagti hai ki, ab is point se share ki price badhane wali hai yani ki is point se share upar jane ki puri puri sambhavna hai.


To is case me trader turant he share ko khrid leta hai, or kuch time baad jab share upar chala jata hai, yani share ki price badh jati hai.


Tab vah trader us share ko bech kar profit kamata hai.


To is trah se ek trader trading karke share market me share ko buy and sell karke paise kamata hai.


Share Bajar me Trading ke thru paise kamane ke mainaly 3 method he hote hai, jise aap ne upar padha hoga.


Jo ki hai, Intraday Trading, Option Trading Or Swing Trading.


Ek trader In tino trading ke method me se koi ek method, ya sabhi method ka istmal karke Share Market se paise kama sakta hai.


Trading ke in tino method me ek baat common hoti hai, or wo baat yah hai ki, in sabhi me hame share ya index me hone wale flactutaion ko sahi time par catch karna hota hai.


Jise hm trading ki language me scalping bhi kahate hai.


Jab koi trader trade karta hai to aise me use nicchit time par yah predication karna hota hai ki ab yahan se share ki price Up jayegi ya Down jayegi.


Agar predication sahi hoti hai, to trader profit kamate hai, or agar predication glat ho jati hai to trader loss karta hai, o fir sara dosh market ko dete hai.


India me 89% traders ki predication glati hoti hai, jisse ve apna paisa loss karte hai.


Share Market agar sabse jyada kisi cheej me badnam hai to wo hai Trading ko lekar. 


Qki Trading he ek matr aisa rasta hai, jisse bahut he kam time me unlimited paisa kamaya ja sakta hai.


Trading ko log jua isliye samajhte hai, qki isme kam capital laga kar bada profit kamaya ja sakta hai.

 

Finally Aaiye ab hm yah jate hai ki kya trading ek jua hai, ya kya trading me carrier banana possible hai?.


Guys jis tarah se ek doctor ya engineer kai varsho tak padhai karta hai, fir digri leta hai or tab jakar ek doctor ya engineer banne yogy hota hai.


Usi traha se ek Trader banne ke liye bhi, mahino ya saalo tak padhana or sikhana hota hai, tab jakar aap ek successful trader ban pate hai.

 

Ek successful trader banna koi aasan kaam nhi hota hai, iske liye kafi kuch sikhana or samajhana padata hai, or sabse badi baat ki isme sabse jyada time lagta hai.

 

Lekin fir bhi bahut se log trading ko gambling ki tarah lete hai, or gambling he samajhte hai, or trading me koi carrier nhi hai aise bolte hai.


Jab ki reality yah hai ki trading me carrier he carrier hai, or agar koi person acche se puri discipline or patience se trading sikhata hai, to uska future bright he hone wala hai.

 

Conclusion –


Guys I hope, ki aap ka kya stock market jua hai? is topic ko lekar sara confusion clear ho gya hoga, q ki is post me ham ne puri detail me explain kiya hua ki kaise share market jua nhi ek business hai.


Agar aap ko yah post knowledgeable lagi ho, or iske sath he aap ko share market ke bare me kuch naya janne ko mila ho.


To please apna Feedback niche comment me jarur de, or agar aap share market se related koi quarry ask karna chahte hai, to ve bhi niche comment kare, Thanks guys.  


कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

Please do not enter any spam link in the comment box.